Kashid Shab
aaj ki raat bhi phir KHwab jagaen ge mujhe
phir wo karwaT se KHayalon ke tasalsul ko miTane ki kashid-e-koshish
jism ke dard ko silwaT mein samo ke
wahi bistar pe taDapte hue mahjuri-e-jaanan ko
kabhi aah kabhi sans ki gahrai mein shal karne ki
sai-e-nakaam
ye bhi malum hai
ye nim rassi fahm ki diwar talak jast
ye sae ki taswir kisi shakl-o-shabahat ke tasalsul ke nishan hain lekin
na-suburi ye badan toDti angDaiyan
honTon pe mahakti larzish
baat ko rabt ke aahang mein lane ki talab
mere sine ka dhuan aankhen sharabor kiye
har bun-e-mu ko mulaqat ka juya kar de
aankh chaDhte hue dariya ki tarah hai pur-ab
panw phisle hai to phir sans ka rishta na rahe
hum to chahen magar is dil ko ye achchha na lage
jaan-kani had se baDhi chaaragaro kuchh to karo
(389) Peoples Rate This