Hum Gunahgar Aurten

ye hum gunahgar aurten hain

jo ahl-e-jubba ki tamkanat se na roab khaen

na jaan bechen

na sar jhukaen

na hath joDen

ye hum gunahgar aurten hain

ki jin ke jismon ki fasl bechen jo log

wo sarfaraaz Thahren

niyabat-e-imtiyaz Thahren

wo dawar-e-ahl-e-saz Thahren

ye hum gunahgar aurten hain

ki sach ka parcham uTha ke niklen

to jhuT se shahrahen aTi mile hain

har ek dahliz pe sazaon ki dastanen rakhi mile hain

jo bol sakti thin wo zabanen kaTi mile hain

ye hum gunahgar aurten hain

ki ab taaqub mein raat bhi aae

to ye aankhen nahin bujhengi

ki ab jo diwar gir chuki hai

use uThane ki zid na karna!

ye hum gunahgar aurten hain

jo ahl-e-jubba ki tamkanat se na roab khaen

na jaan bechen

na sar jhukaen na hath joDen!

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Gunahgar Aurten In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Hum Gunahgar Aurten is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Hum Gunahgar Aurten for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Hum Gunahgar Aurten in PDF.