Zehn Rahta Hai Badan KHwab Ke Dam Tak Us Ka
zehn rahta hai badan KHwab ke dam tak us ka
phir wahi ranj wahi KHema-e-gham tak us ka
meri aankhen meri dahliz pe rakh deta hai
KHas hai mere liye shauq-e-sitam tak us ka
hai mere aab-e-mohabbat se wo shadab bahut
meri pahchan mein hai qamat-e-nam tak us ka
baadban ab to hawaon ko bhi pahchante hain
hath pahuncha hai bahut der mein hum tak us ka
dil-e-afsurda sar-e-sham sulag uThta hai
sahil-e-jaan rakhe ab kaise bharam tak us ka
wo to jhonke ki tarah aa ke guzar jata hai
dasht-e-jaan us ka hai aur KHwab-e-iram tak us ka
ku-e-ehsas tere hausle taslim magar
sehn-e-zindan hi lage naqsh-e-qadam tak us ka
baat aaine se karne ko bhi mauqa DhunDen
KHalwat-e-shauq tarashe hai sanam tak us ka
(402) Peoples Rate This