Wo Ajnabi Tha Ghair Tha Kis Ne Kaha Na Tha
wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha
dil ko magar yaqin kisi par hua na tha
hum ko to ehtiyat-e-gham-e-dil aziz thi
kuchh is liye bhi kam-nigahi ka gila na tha
dast-e-KHayal-e-yar se phuTe shafaq ke rang
naqsh-e-qadam bhi rang-e-hina ke siwa na tha
DhunDa use bahut ki bulaya tha jis ne pas
jalwa magar kahin bhi sada ke siwa na tha
kuchh is qadar thi garmi-e-bazar-e-arzu
dil jo KHaridta tha use dekhta na tha
kaise karenge zikr-e-habib-e-jafa-pasand
jab nam doston mein bhi lena rawa na tha
kuchh yun hi zard zard si 'nahid' aaj thi
kuchh oDhni ka rang bhi khilta hua na tha
(566) Peoples Rate This