Wida Karta Hai Dil Satwat-e-rag-e-jaan Ko
widaa karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko
KHabar karo mere KHwabon ke shab-sulaiman ko
muhit-e-jaan na koi zaiqa na sabza-e-shab
talash karti hai KHushbu kisi gareban ko
mujhe ye fasl-e-KHizan-KHwab kaT lene do
ki phir na nikle koi dusra bayaban ko
lahu ko aankh mein rahne ka zom tha warna
Tapak bhi sakta tha bahla ke dil ke tufan ko
mujhe to gham bhi panah zad hi lage ab to
ki aa nikalti hai hasrat bhi sair-e-mizhgan ko
kisi udu ki murawwat se ab bhi taza hain
wo zaKHm-e-KHwab ki jo DhunDte hain paikan ko
hisab us ki mohabbat ka harf harf karun
jo aa gaya tha meri tishnagi ke saman ko
(407) Peoples Rate This