Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main
umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main
sahil sahil jazbe the aur dariya dariya pahunchi main
shahr mein us ke nam ke jitne shaKHs the sab hi achchhe the
subh-e-safar to dhund bahut thi dhupen ban kar nikli mein
us ki hatheli ke daman mein sare mausam simTe the
us ke hath mein jagi main aur us ke hath se ujli main
ek muTThi tariki mein tha ek muTThi se baDh kar pyar
lams ke jugnu pallu bandhe zina zina utri main
us ke aangan mein khulta tha shahr-e-murad ka darwaza
kuen ke pas se KHali gagar hath mein le kar palTi main
main ne jo socha tha yun to us ne bhi wahi socha tha
din nikla to wo bhi nahin tha aur maujud nahin thi main
lamha lamha jaan pighlegi qatra qatra shab hogi
apne hath larazte dekhe apne-ap hi sambhali main
(357) Peoples Rate This