Tishnagi Achchhi Nahin Rakhna Bahut
tishnagi achchhi nahin rakhna bahut
rauzan-e-gul se use takna bahut
dekh kar jis shaKHs ko hansna bahut
sar ko is ke samne Dhakna bahut
jis ki aankhon mein na jhanka jaega
is ki hi tahrir ko paDhna bahut
mauja-e-reg-e-rawan hai zer-e-ab
apni hasti dekh kar baDhna bahut
barf ki manind jina umr bhar
ret ki surat magar tapna bahut
umr bhar ki bandishen KHwab-o-KHayal
do qadam bhi sath hai chalna bahut
KHastagi 'nahid' ban jae na jurm
apni hasti dekh kar baDhna bahut
(346) Peoples Rate This