Tere Qarib Pahunchne Ke Dhang Aate The
tere qarib pahunchne ke Dhang aate the
ye KHud-fareb magar rah bhul jate the
hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren
ki jin ke sae bhi diwar bante jate the
satiz-e-naqsh-e-wafa tha talluq-e-yaran
wo zaKHma-e-rag-e-jaan chheD chheD jate the
wo aur kaun tere qurb ko tarasta tha
fareb-KHurda hi tera fareb khate the
chhupa ke rakh diya phir aagahi ke shishe ko
is aaine mein to chehre bigaDte jate the
ab ek umar se dukh bhi koi nahin deta
wo log kya the jo aaThon pahar rulate the
wo log kya hue jo unghti hui shab mein
dar-e-firaq ki zanjir si hilate the
(418) Peoples Rate This