Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha
talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha
wo kaun aankhen thin jin ki KHatir ye KHwab dekha
jo rut bhi aae hamin se girya ka rizq mange
hamari surat kise zamin intiKHab dekha
nadamaten bahte aansuon se sharh na paen
safina apni dua ka maqtal rikab dekha
barasti aankhon se sukhe talab bhar na paen
ye gham ka dariya misal-e-qarz-e-sahab dekha
kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyan khilengi
wo bastiyan umr bhar jinhen zer-e-ab dekha
abhi to baKHiya-gari ko sozan hi kaam aae
hina ki dahliz pe tulu-e-hijab dekha
yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi
wufur-e-dariya bhi misl-e-dariya-e-KHwab dekha
jata gaya sari aadaten bas gale se lag ke
us ek anjum ko chandni ke hisab dekha
KHayal us ke badan ki galiyon ko DhunDta hai
wo jis ko dekha to hairaton ko naqab dekha
(387) Peoples Rate This