Sulagti Ret Pe Aankhen Bhi Zer-e-pa Rakhna
sulagti ret pe aankhen bhi zer-e-pa rakhna
nahin hai sahl hawa se muqabla rakhna
use ye zom ki aaghosh-e-gul bhi us ki hai
jo chahta hai parindon ko be-nawa rakhna
subuk na ho ye nigah-dari-e-junun hum se
ye dekhne ko use samne biTha rakhna
bikhar na jaana jarahat-nawazi-e-shab par
masham-e-jaan ko abhi KHwab aashna rakhna
wo fursaten ki jinhen aahaTon ki KHwahish ho
unhen jaras ki tamanna se ma-siwa rakhna
tamam manzar-e-jaan us ki KHwahishon se bana
wo KHwab hai to use KHwab mein saja rakhna
udasiyon ko to aangan hi chahiye KHali
chhaton pe chandni raaton ka silsila rakhna
wo jab bhi aaya bahut tez barishon jaisa
wo jis ne chaha mujhe surmai ghaTa rakhna
bas ek charagh masafat ka bojh sah lega
suKHan ke bich talabgari-e-wafa rakhna
(432) Peoples Rate This