Nazar To Aa Kabhi Aankhon Ki Raushni Ban Kar
nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar
zamin-e-KHushk ko sairab kar nami ban kar
racha hua hai teri kam nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mere dil mein sarKHushi ban kar
kabhi to aa sitam-e-jaan-gusil hi dene ko
kabhi guzar unhi rahon se ajnabi ban kar
KHusha ki aur mila gham ka taziyana hamein
KHusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar
hui na un se wafa tum se kya hua 'nahid'
abhi talak jiye jati ho bawli ban kar
(370) Peoples Rate This