Na Koi Rabt Ba-juz KHamushi O Nafrat Ke
na koi rabt ba-juz KHamushi o nafrat ke
milenge ab to KHulase yahi mohabbat ke
main qaid-e-jism mein ruswa tu qaid mein meri
badan pe dagh liye qaid-e-be-saubat ke
ajib baat gireban pe hath un ka hai
jo tosha-gir-e-tamanna the harf-e-ghairat ke
bas ab to harf-e-nadamat ko sabt-e-daem de
saba-sifat the risale gham-e-mohabbat ke
dua se tazkiya-e-nafas tak safar hai bahut
libas badloge kitne bhi ab zarurat ke
siyah safed ke malik ko farq-e-rang se kya
paDe na us pe bhi sadme kabhi hazimat ke
zamam-e-kar-e-jahan kis ke hath hai ya-rab
badal gae hain taqaze bhi aadmiyat ke
zamana darpa-e-azar hai to kya 'nahid'
bikharte aae hain moti sada mashaqqat ke
(378) Peoples Rate This