Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae
kuchh bol guftugu ka saliqa na bhul jae
shishe ke ghar mein tujh ko bhi rahna na bhul jae
wa rakh sada daricha-e-KHud-agahi ki tu
achchhe to kya buron ko parakhna na bhul jae
zaKHm-e-nihan ko shauq-e-talab se juda na kar
hota hai roz o shab jo tamasha na bhul jae
kar den na be-talab ye musalsal aziyyaten
dil bhi kahin wafa ka saliqa na bhul jae
manzil ka nashsha qurbat-e-manzil na chhin le
apni gali mein aa ke hi rasta na bhul jae
mat rakh tazad-e-zahir-o-baatin ki aadmi
tujh ko tere amal se parakhna na bhul jae
wo bhiD hai ki shahr mein chalna muhaal hai
ungli pakaDna bap ki bachcha na bhul jae
'nahid' rifaten to milengi bahut magar
aankhon ko apne shahr ka naqsha na bhul jae
(383) Peoples Rate This