KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh
KHushbu ko rangton pe ubharta hua bhi dekh
naqsh-e-zar-e-bahaar chamakta hua bhi dekh
rakh ke madar-e-shauq kisi aaftab par
tu sang-e-intizar pighalta hua bhi dekh
aankhon ke gird jhankte halqe na dekh tu
sail-e-KHajista-KHu ko utarta hua bhi dekh
be-faiz dasht-e-dard mein aahistagi ke sath
aahu-sarisht logon ko chalta hua bhi dekh
rang-e-hina ko naqsh-e-qadam se juda bhi kar
sahra mein raKHsh-e-shauq ko girta hua bhi bhi dekh
mahsus kar chhalakte hue shauq ki jalan
yaKH chandni mein jism ko jalta hua bhi dekh
har chiz de ke jati hai apni nishaniyan
har gul mein rang-e-subh jhalakta hua bhi dekh
'nahid' chira-e-dasti-e-yaran aziz rakh
mauqe ke sath un ko badalta hua bhi dekh
(392) Peoples Rate This