Kabhi To Aa Meri Aankhon Ki Raushni Ban Kar
kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar
zamin-e-KHushk ko sairab kar nami ban kar
racha hua hai teri kam-nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mere dil mein sarKHushi ban kar
kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko
kabhi guzar inhi rahon se ajnabi ban kar
KHusha ki aur mila gham ka taziyana hamein
KHusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar
tumhein aziz nahin hai to ho aziz kise
na mil sakega koi wajh-e-zindagi ban kar
palaT ke dekh na us ko wo KHak kar dega
tere ghurur ko zahrab ki ani ban kar
hui na us se wafa tum se kya hua 'nahid'
abhi talak jiye jati ho baoli ban kar
(342) Peoples Rate This