Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho
jab main na hun to shahr mein mujh sa koi to ho
diwar-e-zindagi mein daricha koi to ho
ek pal kisi daraKHt ke sae mein sans le
sare nagar mein jaanne wala koi to ho
dekhe ajib rang mein tanha har ek zat
in gahre paniyon mein utarta koi to ho
DhunDoge jis ko dil se wo mil jaega zarur
aaenge log aap tamasha koi to ho
phir koi shakl baam pe aae nazar kahin
phir rahguzr-e-am mein ruswa koi to ho
koi to aarzu-e-farozan sambhaal rakh
han apne sar pe qarz-e-tamanna koi to ho
har-dam ilaj-e-mehr-o-wafa DhunDte raho
is tirgi mein ghar ka ujala koi to ho
'nahid' bandishon mein muqayyad hai zindagi
jaen hazar bar bulawa koi to ho
(384) Peoples Rate This