Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha
girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha
zindagi rah gai jine ka maza kuchh na raha
raushni thi to har ek shai ki haqiqat thi ayan
tirgi mein meri aankhon ke siwa kuchh na raha
pairahan rang birange nikal aae itne
nau-damida gul-e-shabbu mein chhupa kuchh na raha
kha gai KHak ko hi KHak karen kisi se gila
kya kureden ki tah-e-KHak chhapa kuchh na raha
tere milne ke Dhang bhi taslim magar
zaiqa is tarah badla ki maza kuchh na raha
kyun na ho hashr bapa dad-e-wafa kyun na mile
jab tere chahne walon ke siwa kuchh na raha
kyun na mehmanon ke kamre mein sajaen in ko
ilm ka nam kitabon ke siwa kuchh na raha
KHushbu-e-wasl tawajjoh ka wo aalam wo KHulus
Dubte chand ki aaghosh mein kya kuchh na raha
(366) Peoples Rate This