Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae
bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aae
is dil mein dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aae
bekar sharh-e-lafz-o-maani se faeda
jab tu nahin to shahr mein tujh sa kahan se aae
har chashm sang-e-kizb-o-adawat se surKH hai
ab aadmi ko zindagi karna kahan se aae
wahshat hawas ki chaT gai KHak-e-jism ko
be-dar gharon mein shakl ka saya kahan se aae
jaD se ukhaD gae to badalti ruton se kya
be-ab aainon mein sarapa kahan se aae
sayon pe e'timad se ukta gaya hai ji
tufan mein zindagi ka bharosa kahan se aae
gham ke thapeDe le gae nagan se lambe baal
raaton mein jangalon ka wo saya kahan se aae
'nahid' faishanon ne chhupae hain aib bhi
chashme na hon to aankh ka parda kahan se aae
(424) Peoples Rate This