BigDi Baat Banana Mushkil BaDi Baat Banae Kaun

bigDi baat banana mushkil bigDi baat banae kaun

kunj-e-tamanna virana hai aa kar phul khilae kaun

tan ki daulat man ki daulat sab KHwabon ki baaten hain

nau man tel na ho to ghar mein radha ko nachwae kaun

apna gham ab KHud hi uTha le warna ruswai hogi

tera bhed chhupa kar dil mein nahaq bojh uThae kaun

chalti gaDi nam ka rishta kya mohan kya radha aaj

ban ke sanwar ke ras racha ke mohan aaj manae kaun

sagar par ki KHabren dekhe ham-sae ka pata nahin

aaj ka insan aalam fazil us ko ab samjhae kaun

na-ummidi nam-e-tamanna apna muqaddar hijr-e-musalsal

dard ke KHaristan mein aa ke daman-e-dil uljhae kaun

raat bhi kali chadar oDhe aa pahunchi hai zine mein

mehndi lagae baiThi soche laT uljhi suljhae kaun

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BigDi Baat Banana Mushkil BaDi Baat Banae Kaun In English By Famous Poet Kishwar Naheed. BigDi Baat Banana Mushkil BaDi Baat Banae Kaun is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem BigDi Baat Banana Mushkil BaDi Baat Banae Kaun for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download BigDi Baat Banana Mushkil BaDi Baat Banae Kaun in PDF.