Ai Rah-e-hijr-e-nau-faroz Dekh Ki Hum Thahar Gae
ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum Thahar gae
ye bhi nahin ki zinda hain ye bhi nahin ki mar gae
KHwab talak rihai thi tere firaq-o-hijr se
aankh khuli to aaine tah mein kahin utar gae
tu bhi meri tarah raha dhyan uThae shahr ka
soe to chhanw so gai qafile kuch kar gae
tujh ko bahut qarib se dekh ke yun laga ki ab
KHema-e-jaan ukhaD gaya dasht-e-talab guzar gae
dil ki gawahi ke liye rasm-e-dua buri na thi
ranj-e-KHumar-e-be-samar DhunDne us ke ghar gae
hum hi the wo bala-kashan dar-o-rasan the jin ki jaan
hum hi the shab ke ham-safar hum hi na apne ghar gae
dil ko tere firaq ki aarzu yaad rah gai
din wo mohabbaton ke bhi misl-e-rah-e-safar gae
mere liye bhi KHwab the us ne rakhe hue kahin
shahr mein un ko DhunDne qasid-e-be-hunar gae
(412) Peoples Rate This