Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha

shoara mein na ho kyun sher hamara uncha

ki qad-e-yar ka mazmun hai bandha uncha

naz ki nashw-o-numa hai ki hai joban ka ubhaar

warna kya hai tere sine pe ye uncha uncha

dil musafir hai safar shab ka phir is par turra

kucha-e-zulf mein hai har jagah nicha uncha

ai adab KHar ki tazim hai nicha rahna

han kahin ho na sar-e-abla-e-pa uncha

zulf hai past jo gesu se to ye kakul se

chau-gune martaba mein is se hai turra uncha

chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ek hath

ghair mumkin hai zamin se bahe dariya uncha

kyun 'waqar' apna gala pir-o-jawan phaDte hain

pir-e-kohna hai falak had se hai sunta uncha

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha in PDF.