Murgh-e-jaan Ko Zulf-e-pechan Jal Hai
murgh-e-jaan ko zulf-e-pechan jal hai
jal kya ai jaan-e-jaan janjal hai
aao hazir sar pae pamal hai
jaan lab par bahr-e-istiqbaal hai
KHak ho sarsabz tuKHm-e-ashiqi
hai zamin aas aasman ghirbaal hai
husn yusuf ka bika bazar mein
ishq ka rail ke iqbaal hai
jo mere lab par hua hasrat ka KHun
wo buKHar-e-shauq ka tabKHal hai
bolta hai aaj-kal tuti mera
ghair ki galti wahan kab dal hai
fauj-e-KHat aati hai ai sultan-e-husn
mulk-e-ruKH se tera istisal hai
hai nikalti baat un ki baat se
chaal wo chalte hain jis mein jal hai
kya likhun wasf achchhi surat ka 'waqar'
jins-e-naqis ke liye dallal hai
(377) Peoples Rate This