Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan
main pa-shikasta kahan tifl-e-nai sawar kahan
phir us ki gard kahan aur mera ghubar kahan
tumhaare wasl se Thahrega ye dil-e-be-tab
baghair aaina simab ko qarar kahan
bahut dinon se hun aamad ka apni chashm-e-ba-rah
tumhaara le gaya ai yar intizar kahan
jo sard-mehri se ThanDa ho us ke ai mah-ru
ragon mein KHun kahan nabz mein buKHar kahan
nikal ke sine se ja pahunche tur-e-sina par
gai chamakne meri aah-e-pur-sharar kahan
jo samjhen tere dam-e-tegh ko tariq apna
bata de dahr mein hain aise sar-guzar kahan
falak ki sulh ko samjhe raho 'waqar' jidal
bane bhi dost jo dushman to e'tibar kahan
(391) Peoples Rate This