Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul
kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul
aaj bulbul did kar le bagh ki nazzara gul
KHali-az-shar ye chaTakne ki sada hargiz nahin
subh dam karta hai apne kuch ka naqqara gul
ghuncha jab tak chup raha har tarah KHatir jama thi
KHanda-e-mufrat ne lekin kar diya aawara gul
zahira baatin subuk tha kuchh girani aa gai
ho gaya bulbul ki jaanib se jo sang-e-KHara gul
kyun na guzre dam-ba-dam bulbul ka parcha ai 'waqar'
rakhta hai baad-e-saba ka bagh mein harkara gul
(377) Peoples Rate This