Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota
kabhi baalon ko suljhaya to hota
mujhe shane se uljhaya to hota
bigaD jata abhi munh aaine ka
tumhaare ru-ba-ru aaya to hota
gul-e-yusuf zuleKHai dikhata
chaman mein wo aziz aaya to hota
zaban-e-bosa-e-lab de kar ai yar
na dide dil ko lalchaya to hota
mujhe waraftagi jaane na deti
wa-lekin tum ne bulwaya to hota
wo kahte ghair se kahte par ai dil
zaban par muddaa laya to hota
ruKH-e-rangin tera gar dekhta gul
na uD jata to pattaya to hota
sahaare par sahar hoti shab-e-hijr
na aate wada farmaya to hota
na paya tum ko main ne to gila kya
kabhi KHud aap ko paya to hota
masihai na karta go wo kafir
janaze par mere aaya to hota
na deta le ke dil wo par bala se
mera dil hath mein laya to hota
main tha gum-karda-e-ishq-e-kamar yar
kabhi anqa se DhunDhwaya to hota
main karta shukr-e-muqaddam mein fida jaan
farishta maut ka aaya to hota
na rahta dast-e-wahshat aastin mein
junun ne panw phailaya to hota
main uD chalta ba-rang-e-saut-e-naqus
'waqar' us but ne bulwaya to hota
(413) Peoples Rate This