Kabhi Ai Ashk-e-tar Aankhon Se Dhal PaD

kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD

kabhi ai aah-e-dil munh se nikal paD

na ai pa-e-tasawwur itna shal paD

kabhi tu la-makan se aage chal paD

hua wo but na do din bhi kabhi ram

jahannam mein tu ai ilm-o-amal paD

wo raqsan bazm mein hain tu bhi ai dil

kabhi to wajd mein aa kar uchhal paD

kisi din to kabhi ai abr-e-rahmat

mere bait-ul-huzan mein bhi unDal paD

gul-e-ariz pe un ke misl-e-bulbul

kabhi o tifl-e-dil tu bhi machal paD

mere aage kabhi hath apne dho kar

raqibon ke bhi pichhe ai ajal paD

bahe go aalam-e-imkan par ai chashm

kabhi to surat-e-zamzam ubal paD

nibhi ek pal kabhi jis se na ai dil

usi sarkash ke phir qadmon pe chal paD

kabhi o sher-e-wasf-e-said-e-yar

mere KHame ke bhi sanche se Dhal paD

'waqar' us bazm mein tu bhi sadaf-war

dahan-e-pak se moti ugal paD

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Ai Ashk-e-tar Aankhon Se Dhal PaD In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Kabhi Ai Ashk-e-tar Aankhon Se Dhal PaD is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Kabhi Ai Ashk-e-tar Aankhon Se Dhal PaD for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Kabhi Ai Ashk-e-tar Aankhon Se Dhal PaD in PDF.