Jis Ko Pas Usne BiThaya Ek Din
jis ko pas us ne biThaya ek din
us ko duniya se uThaya ek din
wasl ki shab dekhte us mah ko
sal mein bhi wo na aaya ek din
subh-e-naumidi hamari shab ki hai
umr guzri wo na aaya ek din
kaam mein mere hamesha yar ne
ek saat ka lagaya ek din
misl-e-barq ek shab hansaya aap ne
abr ki surat rulaya ek din
yaad-e-zulf-o-ruKH mein bhule KHwab-o-KHur
ek shab soe na khaya ek din
wo tap-e-larza ka daura ho gaya
ek din aaya na aaya ek din
yaad jis KHurshid-ru ki hai 'waqar'
bhul kar bhi wo na aaya ek din
(377) Peoples Rate This