Husn-e-surat Mein Garche Bud Nahin
husn-e-surat mein garche bud nahin
par kahan ishq ki numud nahin
nisti jalwa-gar hai hasti mein
kuchh adam ka mere wajud nahin
hum ne awwal se dekha aaKHir tak
zat haq ki nabud-o-bud nahin
tere husn-e-malih ke qurban
kis ke wird-e-zaban durud nahin
mere saqi ke pesh saghar-e-chashm
shishe ko kab sar-e-sujud nahin
dagh-e-sozan hai jism mein wo uzw
sang-e-afat se jo kabud nahin
bagh hai dagh gar na ho lala
bazm wo kya hai jis mein ud nahin
bas-ki hai kund naKHun-e-mizhgan
uqda-e-ashk ki kushud nahin
hum jo kahte the tum se rose 'waqar'
juz zarar aashiqi mein sud nahin
(397) Peoples Rate This