Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge
ho id ya moharram hum gham kiya karenge
do roza dahr-e-dun mein matam kiya karenge
mazmun darhami ka gesu ke bandhenge hum
har dam mizaj apna barham kiya karenge
us harf-e-na-shunu ki furqat mein chupke baiThe
hum apne dil se baaten har dam kiya karenge
kanon tak us ke pahunche manind-e-zulf jab hum
sargoshiyan sarasar baham kiya karenge
wo zulf-o-ruKH se apne kafur-o-mushk le kar
tayyar zaKHm-e-dil ka marham kiya karenge
go talKH wo kahenge lab-ha-e-shakkarin se
har dam dua magar hum ham-dam kiya karenge
go KHun ka qatra qatra dil se 'waqar' kam ho
lekin suKHan suKHan se hum zam kiya karenge
(368) Peoples Rate This