Hai Hai Koi Dil Dene Ke Qabil Nahin Milta
hai hai koi dil dene ke qabil nahin milta
arman taDapte hain ki qatil nahin milta
ho aql to ho til ki jagah aankh mein laili
jhak qais ki hai sahib-e-mahmil nahin milta
gul ki tere ruKHsar se rangat nahin milti
nale se mere shor-e-anadil nahin milta
apna bhi to milta nahin dil mujh se phir ai yar
kis munh se kahun tujh se tera dil nahin milta
bosa nahin dete hain shab-e-wasl mein bhi aap
mazrua-e-umid ka hasil nahin milta
milta nahin aariz se tere mehr-e-daraKHshan
peshani se teri mah-e-kaamil nahin milta
chamke na 'waqar' aage ruKH-e-yar ke KHurshid
samjhe rahe haq se kabhi baatil nahin milta
yarab tamkin dahr mein qatil nahin milta
phike kisi dilbar se mera dil nahin milta
wo ishq ka dariya hai ki ilyas ko jis ka
kahne ko pae nam bhi sahil nahin milta
maujud hai filfil mujhe gham is ka nahin hai
gar dekhne ko ruKH ka tere til nahin milta
mashq-e-sitam-o-jor ka chaurang hun is se
aashiq koi mujh sa unhen be-dil nahin milta
ashaar 'waqar' aisi ghazal main kahun kya KHak
mushkil to ye hai qafiya mushkil nahin milta
(349) Peoples Rate This