Gar Adu Taqdir Hai Tadbir Rahne Dijiye
gar adu taqdir hai tadbir rahne dijiye
dost ka dil mein hamare tir rahne dijiye
hain jo aashiq kaam mazduron ka wo karte nahin
zimma-e-farhad ju-e-shir rahne dijiye
laila-o-majnun ki ek kaghaz pe hoti hai shabih
ru-ba-ru us ke meri taswir rahne dijiye
hai junun fasli karo zanjir tar-e-ashk se
taur par mere meri tadbir rahne dijiye
sim-o-zar banta hai KHak-e-kushta-dil se aap ke
pas apne jaan kar iksir rahne dijiye
aastin se hath bahar ho na ai jaan-e-jahan
bas miyan andar hi ye shamshir rahne dijiye
tir-e-be-paikan nishana toDta hai kab 'waqar'
munh ki munh mein aah-e-be-tasir rahne dijiye
(349) Peoples Rate This