Gah Bismil Hun Gahe Takbir Hun
gah bismil hun gahe takbir hun
apni main tadbir ka taqdir hun
mere dam se hai junun ki aabru
pasban-e-KHana-e-zanjir hun
be-ruKHi par hai kaman taqdir ki
go sarapa nawak-e-tadbir hun
dushmanon ke hun zarar ka sarnawisht
doston ke nafa ki taqrir hun
hai KHarabi raKHna-andaz-e-bina
qasr-e-barbaadi ka main tamir hun
qad tawazoa mein hai KHam misl-e-kaman
rast-kari mein misal-e-tir hun
main hun ek naqqash shair ai 'waqar'
khinchta ashaar ki taswir hun
(360) Peoples Rate This