Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho
dosto haal-e-dil-e-zar zara us se kaho
kam na ho is mein zara balki siwa us se kaho
baat gaDh kar na koi bahr-e-KHuda us se kaho
jitna main munh se kahun mera kaha us se kaho
ye na kahiyega ki hum zaKHmon pe chhiDkenge namak
jis kisi ne ki na chakkha ho maza us se kaho
sham-e-andoh ki shayad ki sahar ho jae
mera din raat ka ye shor-o-buka us se kaho
chashm-e-bimar ne bimar kiya hai mujh ko
lab-e-jaan-baKHsh kare meri dawa us se kaho
hath uTha baiThe na wo qatl se mere yaro
KHun-baha main ne ba-hal apna kiya us se kaho
ek hasin puchhta tha haal-e-waqar-e-KHasta
go bura ho mera itna to bhala us se kaho
(377) Peoples Rate This