Dilon Par Ye Naqsh Usne Apna BiThaya
dilon par ye naqsh us ne apna biThaya
ki jo choT par said aaya biThaya
misal-e-kabutar mere dil ko us ne
bhagaya bulaya uThaya biThaya
tere aatishin husn ne shama ko shab
khapaya jalaya galaya biThaya
uThaya usi gham ne duniya se pyare
kabhi tum ne hum ko na tanha biThaya
samajh teri ulTi hai ai jaan-e-alam
ki apna uThaya paraya biThaya
na bole lahad mein bhi hum Dar se tere
farishton ne kitna jagaya biThaya
gaya koThe par wo ye ki mah ne azmat
ki ujla bichhauna bichhaya biThaya
ye wo qais hai KHas shagird mera
pakaD kan jis ko uThaya biThaya
'waqar' is ghazal ki zamin had buri thi
bahut zor de kar biThaya biThaya
(373) Peoples Rate This