Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen
chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen
ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama karen
qatl ke baad hua hukm ki lashen uTh jaen
qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama karen
yar ne KHatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe
purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen
fikr mein gesu-o-ruKHsar ke dil ki KHatir
sham hoti hai pareshan jo sahar jama karen
hum rahe dahr mein jab tak tu rahe pa-ba-rikab
par na ye ho saka asbab-e-safar jama karen
donon aalam se na kyun band wo aankhen rakkhen
tere nazzare ke KHatir jo nazar jama karen
yak qalam panj sad-o-chaar hon diwan mein ghazal
hum kalam apna 'waqar' aaj agar jama karen
(431) Peoples Rate This