Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai
bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai
KHun-e-bulbul ka rang hai bu hai
aashiq-e-jaan fida-e-abru hai
jo mah-e-id sar-ba-zanu hai
fitna-e-hashr zulf-e-umr-e-daraaz
par bala-e-siyah gesu hai
teri abru hai tegh ai saffak
jauhar-e-tegh chin-e-abru hai
husn un ka agar hai sangin dil
ishq apna bhi saKHt bazu hai
len na shor-e-nushur se karwaT
wo yahan KHwab chaar pahlu hai
tol le sher ko mere hasid
pas agar nazm ki taraazu hai
kyun na wo chashm-e-shauq mein khaTke
ai pari-ru kamar teri mu hai
us ka aashiq hua hun jis ki 'waqar'
chashm aahu nigah aahu hai
(372) Peoples Rate This