Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b63d6d6ba222e213b750b842ae8456b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban - Kirti Ratan Singh Poetry In English - Darsaal

Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban

tum nahin samjhe kabhi in ki zaban

daman-e-gul mangti hain titliyan

aaj bhi aurat ke hisse aag hai

kitni bhi be-shak hon us pe degreeyan

puchh baiThe the tumhin kal rok kar

warna kyun hum kholte apni zaban

kar le KHidmat ab to tu man bap ki

aur bas kuchh rose hain ye jism-o-jaan

tum bhale kitna bhi us ko kos lo

mamta mein man na khole hai zaban

ho sakega dard sar ka kam tabhi

god mein rakh kar jo man de thapkiyan

is 'ratan' ne ji liye kitne bharam

aap is ka zikr hi chhoDo miyan

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban In English By Famous Poet Kirti Ratan Singh. Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban is written by Kirti Ratan Singh. Read famous Poem Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban for youth and Student by Kirti Ratan Singh. Free Download Tum Nahin Samjhe Kabhi Inki Zaban in PDF.