Zindagi Ki Rah Mein Ek MoD Aisa Aaega

zindagi ki rah mein ek moD aisa aaega

jis ke aage har koi KHud ko akela paega

kaun kitna zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko

rail jab chalne lagegi faisla ho jaega

aaj bhi us ruThne wale se ye ummid hai

meri jaanib dekh kar ek bar to muskaega

is tarah dega saza apnaiyat ke jurm ki

main use apna kahun wo ghair ke gun gaega

ab hamari aankh mein manzar na koi KHwab hai

tujh se ek rishta dhanak rangon ki chadar laega

jal chuke miT bhi chuke kab se gharibon ke makan

ye dhuan kab tak hamare zehn mein lahraega

de to aae us ko sare faisle karne ka haq

dil larazta hai muqadma kis ke haq mein jaega

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ki Rah Mein Ek MoD Aisa Aaega In English By Famous Poet Khwaja Sajid. Zindagi Ki Rah Mein Ek MoD Aisa Aaega is written by Khwaja Sajid. Read famous Poem Zindagi Ki Rah Mein Ek MoD Aisa Aaega for youth and Student by Khwaja Sajid. Free Download Zindagi Ki Rah Mein Ek MoD Aisa Aaega in PDF.