Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha
rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha
ab ja ke khula mera safar teri taraf tha
aangan tha mera aur na dar-o-baam the mere
main dhup mein tha saya-e-dar teri taraf tha
mahfil tujhe bas chhoD ke jaane ke liye thi
ek main hi faqat KHak-basar teri taraf tha
ujlat mein na kar tark-e-talluq ki shikayat
dil teri taraf yaad to kar teri taraf tha
aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks
shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha
tu mausam-e-gul mein bhi gurezan raha mujh se
main shaKH-e-burida tha magar teri taraf tha
main tere hawale se raha shahr mein matub
jo mera hunar tha wo hunar teri taraf tha
(463) Peoples Rate This