Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor
kaisi hai ajab raat ye kaisa hai ajab shor
sahra hi nahin ghar bhi machata hai ajab shor
ek dard ki aandhi mujhe rakhti hai hirasan
ek aas ka jhonka bhi uData hai ajab shor
raushan hai kisi aankh mein tariki-e-ahwal
ek taq-e-tamanna mein dahakta hai ajab shor
ek shaKHs mere aaina-e-dil ke muqabil
KHamosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor
aati hai bahut dur se pazeb ki aawaz
phir meri samaat mein chahakta hai ajab shor
main zabt ko har ruKH se sipar karta hun lekin
aankhon se meri jhankta rahta hai ajab shor
shayad tera hissa hai kinare ki KHamoshi
malum tujhe kya tah-e-dariya hai ajab shor
(526) Peoples Rate This