Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya
guzri jo rahguzar mein use darguzar kiya
aur phir ye tazkira kabhi ja kar na ghar kiya
chashm-e-saliqa-saz to KHamosh hi rahi
ruKHsat pe teri dil ne bahut shor-o-shar kiya
aazurdagan-e-hijr ki wahshat ajib hai
nikle na ghar se aur na aabaad ghar kiya
be-barg-o-bar jism tha mahrum-e-e'tibar
sar-gami-e-saba ne shajar ko shajar kiya
apne siwa kisi ko ye dil manta na tha
is dil ko ustuwar teri aankh par kiya
ye ishq marhala to safar-dar-safar ka hai
ab dekhna hai kis ne kahan tak safar kiya
aise kushada-dast kahan ke the hum 'razi'
shayad lihaz-e-zahmat-e-daryuza-gar kiya
(493) Peoples Rate This