Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain
dikha kar aaine mein apna chehra kho gae hain
ye duniya bhi tamasha thi tamasha ho gae hain
musafir hain safar mein bud-o-bash apni yahi hai
jahan par koi saya mil gaya hai so gae hain
ba-zahir ek sahra hain magar aisa nahin hai
hamari KHak ko kitne hi dariya ro gae hain
wo mausam aur manzar jin se hum tum KHush-nazar the
wo mausam aur manzar darmiyan se kho gae hain
qadam aahista rakkho kah rahe hain KHushk patte
daraKHton par thake-haare parinde so gae hain
nahin ehsas tum ko raegani ka hamari
suhulat se tumhein shayad mayassar ho gae hain
rifaqat mein ye kaisa saneha guzra hai hum par
badan bedar hain lekin muqaddar so gae hain
kabhi sairab jo lamhe kiye the KHun-e-dil se
wahi lamhe 'razi' aankhon mein kanTe bo gae hain
(414) Peoples Rate This