Hashr
main hairan hun
ki kis manzil mein hun
meri chaaron taraf ek bhiD si hai
main tanha bhi nahin hun
magar tanhai si mahsus hoti hai
to kya ye hashr hai
suna tha hashr hoga
sari ruhen ek KHuda hoga
yahi mauqa hisab-o-adl ka hoga
shifa kaam aaegi na rishta mo'atabar hoga
samajh mein ye nahin aata
KHuda main hun ya ye sab hain
ye sab ke sab KHuda hain
aur mujh se chahte hain
hisab-e-dil hisab-e-jaan
hisab rishta-e-qarz-e-garan
tawaqqoa ki shuaen har taraf se
meri jaanib aa rahi hain
mujhe apni nazar apni samajh apni sada
khoi si lagti hai
kahin is KHak mein luthDi si lagti hai
main dhire dhire jaise ghaT raha hun
miT raha hun
KHuda main ho nahin sakta
KHuda miTta nahin hai
main banda hun
mera kya hashr hoga
ye mera KHwab hai ya waqia hai
agar ye KHwab hai to TuT jae
agar ye waqia hai hashr hai to
us tawil-o-garm din ki sham ho jae
main sona chahta hun
mukammal KHak hona chahta hun
(416) Peoples Rate This