Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain

shujaat ki misalen qabr ke patthar mein rakkhi hain

hamari sari shamshiren ajaib ghar mein rakkhi hain

hawa ki dushmani se hausle TuTe nahin us ke

uDanen to parinde ke shikasta-par mein rakkhi hain

jise chahe dikhata hai jise chahe miTata hai

ki taswiren sabhi ab dast-e-shisha-gar mein rakkhi hain

charaghon ke mohalle mein bahut tezi se chalti hai

ye kaisi wahshaten yarab hawa ke sar mein rakkhi hain

hamare baad aane walon ko koi to samjhae

gae waqton ki tariKHen har ek patthar mein rakkhi hain

gulon se qurbaten sabit faqat KHushbu se hoti hain

qabaen to saba ki qabza-e-sarsar mein rakkhi hain

hum apna saz-o-saman le to aae hain nae ghar mein

magar kuchh dastaken ab bhi purane ghar mein rakkhi hain

wo rah-e-wasl ki paikar nahin binai chalti thi

meri aankhen tere didar ke manzar mein rakkhi hain

(474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain In English By Famous Poet Khwaja Rabbani. Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain is written by Khwaja Rabbani. Read famous Poem Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain for youth and Student by Khwaja Rabbani. Free Download Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain in PDF.