Log Is Dhab Se Qaside Mein Utar Bandhte Hain
log is Dhab se qaside mein utar bandhte hain
sahab-e-sadr ke aibon ko hunar bandhte hain
hum tere shahr ka jab azm-e-safar bandhte hain
aadatan kandhon pe apne kai sar bandhte hain
sukhi shaKHon pe nae barg-o-samar bandhte hain
qafiya jab bhi naya ahl-e-hunar bandhte hain
in munDeron ke charaghon ki ajab qismat hai
jis mein ahbab hawaon ka guzar bandhte hain
main ise le ke khaDa hun to nahin koi harif
kis ke hone ka fusun shoabda-gar bandhte hain
wo jo waqif nahin tahzib-e-zaban-dani se
apni dastar mein ab wo bhi guhar bandhte hain
ek ghazal aisi ki kaghaz ko bhigo deti hai
is mein hum qafiya-e-dida-e-tar bandhte hain
in se hushiyar nai tarz ke jadugar hain
kis safai se ye logon ki nazar bandhte hain
hum hain mazur-e-nazar, pul teri tarifon ke
aaina-KHane ke arbab magar bandhte hain
(417) Peoples Rate This