Jite Ji Bas Wo But Raha Hamrah
jite ji bas wo but raha hamrah
ab to bande ke hai KHuda hamrah
dil diya us ko par ye Darta hun
dushman ek dost ke kiya hamrah
nahin yaran-e-raftagan ka nishan
le gae kya ye naqsh-e-pa hamrah
is mein kya aap ki hai ruswai
rahe gar mujh sa parsa hamrah
tujhe dekha jidhar nigah gai
tha tasawwur zi-bas tera hamrah
ranj-e-tanhai-e-lahad na raha
yar ke gham ko le liya hamrah
shab ko jate ho sath lo mashal
kahiye to ho ye dil-jala hamrah
hue baad apne bewafa ushshaq
le gae yan se ham-wafa hamrah
teri raftar ka main kushta hun
qabr tak aaiyo zara hamrah
ye dil-e-bad-guman na dekh sake
agar us but ke ho KHuda hamrah
ta salamat tu aae ai qasid
Thahar itna karun dua hamrah
us ne tanha mujhe na jaane diya
gham-e-furqat ko kar diya hamrah
na-tawan hai bahut ghubar mera
tu zara rahiyo ai saba hamrah
rahi yan gardish aur jama-dari
kash late na dast-o-pa hamrah
galiyan jaise din hain dil le kar
jaega ye diya liya hamrah
ja na tanha tu ai shah-e-KHuban
ho 'wazir'-e-barhana-pa hamrah
(407) Peoples Rate This