Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_gj5eo8lquuofv533cp2oe00lr2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai - Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai

hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai

to sine mein nafas har ek mauj-e-bu-e-sumbul hai

fasan hai saKHt-jaani meri tegh-e-naz-e-qatil ko

ki yan jitna hai ranj-e-naza utna wan taghaful hai

mujhi ko kuchh tu apne kuche mein aane nahin deta

wagarna ai sitam-ijad har gulshan mein bulbul hai

teri mina-e-gardan ki sifat ki hai jo ai saqi

meri aawaz ko kahte hain sab aawaz-e-qulqul hai

wahi dil hai bhara ho nashsha jis mein jam-e-wahdat ka

ki hai chhati ka patthar bazm mein shisha jo be mul hai

mare jo soz-e-gham se jal ke ho wo nek-nam aaKHir

charagh-e-murda ko aksar yahi kahte hain sab gul hai

diya saman-e-gulshan hum ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne

pareshani hai sumbul nala bulbul dagh-e-dil gul hai

likhi hain wasf yan tak nargis-e-maKHmur saqi ki

hai KHama gardan-e-mina sarir-e-KHama qulqul hai

baDha kar rabt kyunkar kam na munh dikhlae wo mah-ru

hua jab mah-e-kaamil din pe din us ko tanazzul hai

bahati hai kahin bhi mauj-e-naqsh-e-boriya KHas ko

na dega na-tawan ko ranj jo sahab tahammul hai

kaha us gul ne kul saman-e-gulshan mein bhi raTta hun

jo aashiq hai mera nalon se wo ham-chashm-e-bulbul hai

KHat-o-ruKHsar-o-chashm-o-zulf dikhla kar laga kahne

ye raihan hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai

KHayal-e-zulf-e-jaanan mein jo roun to uge sumbul

'wazir' aansu mera har ek goya tuKHm-e-sumbul hai

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai in PDF.