Hai Naqsh-e-diram Jo Naqsh-e-pa Hai
hai naqsh-e-diram jo naqsh-e-pa hai
aap aate to ghar diram-sira hai
dil jalwa tera dikha raha hai
shisha ye mera pari-numa hai
sultan-e-jahan hai jo gada hai
taimur har ek shikasta-pa hai
insan bhi qudrat-e-KHuda hai
kya sang ko but bana diya hai
shirin hai dahan karo shukr-e-KHand
hansne mein tumhaari ek maza hai
mazmun parwane ban ke aaen
shabdez-e-qalam charagh-pa hai
yaran-e-guzasht-gan se hai uns
zinda murdon pe mar raha hai
aaya nahin KHud-farosh mera
goya mujhe mol le liya hai
wo rashk-e-bahaar-o-ghairat-e-gul
gul-gasht-e-chaman ko jo gaya hai
gulzar hua hai pani pani
bulbul pani ka bulbula hai
jo chahiye ishq mein kiya wo
hum mar gae kahiye marhaba hai
hai jhuTa kahun jo rast hai qad
ye tausan-e-husn alif hua hai
munh jis ne diya wo rizq dega
goya ye dahan aasiya hai
tauba ka na dar ho band yarab
jab tak dar-e-mai-kada khula hai
hai shisha-e-sabz garm qulqul
tuti maston ka bolta hai
kya jism hai saf us pari ka
goya qadd-e-adam aaina hai
begana koi nazar na aaya
aaina bhi surat-ashna hai
kya KHauf-e-gunah 'wazir' ko ho
hami sultan-e-ambiya hai
(376) Peoples Rate This