Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4cf9581bb95267b267af2938ef1839c4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain - Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain

hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain

ki dahan mushaf-e-natiq hai ye sipare hain

apni hasti mein to aasar-e-fana sare hain

sham ko zarre hain aur subh ko hum tare hain

kya hi harjai hasinan-e-jahan sare hain

ye wo aKHtar hain ki sabit nahin sayyare hain

zaiqa honTon ka badlega na missi maliye

hongi ye qand siyah ab to shakar-pare hain

baadshahon ki tarah phirte hain Danke dete

KHar-e-pa chob hain aur aable naqqare hain

chhup chale hain KHat-e-shab-rang se ruKHsar-e-sabih

din hai kam sham ke aasar ayan sare hain

saghar-e-chashm ke sau dene paDenge bose

shisha-e-dil kabhi toDa to ye kaffare hain

KHat pe KHat rose baha kar use pahunchate hain

ashk kahe ko hain ye Dak ke harkare hain

aab jari kiya eajaz se ai bahr-e-karam

ungliyan kahe ko hain nur ke fawware hain

mushaf-e-ruKH ko wo dikhlaen agar tison din

nai phabti mujhe sujhi kahun sipare hain

hath agar chhune se jal jae yad-e-baiza ho

lal-e-lab us but-e-kafir ke wo angare hain

raungTe kab hain in aainon mein hain paD gae baal

hath zanu pe kabhi yar ne de mare hain

pusht par hai jo sipar KHam hue ho tegh ki tarah

chaar phul us ke tumhein phulon ke pushtare hain

ru-ba-ru rahti hai taswir-e-tasawwur shab-o-roz

ab to be-minnat-e-KHalq aap ke nazzare hain

dekh kar tujh ko hasin kaTte hain bhule hain banaw

kanghiyan karte nahin sar pe rawan aare hain

dil pe jo guzri KHabar ashkon ne di aa ke 'wazir'

laeq-e-KHilat-e-rumal ye harkare hain

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain in PDF.