Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d6057825c2df38165006dbd151242b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin - Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin

ezar-e-yar pe zulf-e-siyah-fam nahin

magar ye hashr ka din hai ki jis ki sham nahin

firaq-e-yar mein dono se hum ko kaam nahin

hawas sahar ki nahin aarzu-e-sham nahin

wila-e-kaba-e-abru se munh ko kya pherun

namaz KHatm na ho jab talak salam nahin

ye saif aap ki misl-e-pari-sahi-qad hai

magar ye aib hai chalti nahin KHiram nahin

kaho na sarw ko ek zar-KHarid hi apna

kiya jo bande ko aazad phir ghulam nahin

nahin iada-e-taat ko peshwa darkar

qaza namaz ko kuchh hajat-e-imam nahin

kisi tarah shab-e-furqat basar nahin hoti

kuchh is ko gardish-e-ayyam se bhi kaam nahin

jo us ne baat na ki ho gaya mujhe isbaat

dahan wo tang hai gunjaish-e-kalam nahin

bujhi hai aab se kya teri tegh-e-tez ki aanch

ki KHunfishan mere dil ka kabab-e-KHam nahin

phiri hai furqat-e-jaanan mein chashm-e-duKHtar-e-raz

ye gardish aankh ki saqi hai daur-e-jam nahin

na dekha naqsh qadam ka sada-e-pa na suni

samand-e-umr sa koi subuk KHiram nahin

barahna rahti hai shamshir-e-abru-e-qatil

misal-e-tegh-e-ajal hajat-e-niyam nahin

bandhen wo hath hina se kiya hai jin se shahid

kuchh aur yar se manzur intiqam nahin

na dagh do shab-e-furqat ka din ko nam na lo

abhi charagh na raushan karo ki sham nahin

jigar se sine se dil se guzar gai dam mein

teri tarah teri talwar ko qayam nahin

sitara-e-falak-e-husn kahiye kam-sin hai

abhi wo chand ka TukDa mah-e-tamam nahin

phire talab mein jo duniya ki wo nahin din-dar

misal-e-dana jo gardish mein hai imam nahin

na KHatt-e-mushaf-e-ariz ka mo'taqid ho 'wazir'

huruf jis mein hon allah ka kalam nahin

(431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Ezar-e-yar Pe Zulf-e-siyah-fam Nahin in PDF.